People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 22 *

Bumbro bumbro,
Lyricist: Rahat Indori
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Mission-Kashmir/Bumbro/E1EIUD
Bumbro bumbro, shyam rang bumbro
Bumbro bumbro, shyam rang bumbro
Aaye ho kis bagiya se, oh oh tum
Bumbro bumbro, shyam rang bumbro
Bumbro bumbro, shyam rang bumbro
Aaye ho kis bagiya se, oh oh tum
Bhanwre o shyam bhanwre, khushiyon ko saath laaye
Mehndi ki raat mein tum, leke saugat aaye

Ho, kaajal ka rang laaye, nazrein utaarne ko
Baaghon se phool laaye, raste sanwaarne ko
Haan, kaajal ka rang laaye, nazrein utaarne ko
Baaghon se phool laaye, raste sanwaarne ko
Haan mehndi ki chhaon mein geet sunayein bumbro
Jhoome nachein saaz gaayein, jashn manayein bumbro
Bumbro bumbro, shyam rang bumbro
Bumbro bumbro, shyam rang bumbro
Aaye ho kis bagiya se, oh oh tum

Khil khil ke laal hua mehndi ka rang aise
Gori hatheliyon pe khilte ho phool jaise
Bumbro bumbro bumbro bumbro
Ae, khil khil ke laal hua mehndi ka rang aise
Gori hatheliyon pe khilte ho phool jaise
Yeh rang dhoop ka, yeh rang chhaon ka hai
Mehndi ka rang nahin, maa ki duaaon ka hai
Is mehndi ka rang hai sachcha, baaki saare jhoote
Haathon se ab mehndi ka yeh rang kabhi na chhoote

O bumbro bumbro, shyam rang bumbro
Bumbro bumbro, shyam rang bumbro
Aaye ho kis bagiya se, oh oh tum
Bumbro bumbro, shyam rang bumbro
Bumbro bumbro, shyam rang bumbro
Aaye ho kis bagiya se, oh oh tum

Chanda ki paalki mein dil ki muraad layi
Jannat ka noor leke mehndi ki raat aayi
Mehndi ki raat aayi
Chanda ki paalki mein dil ki muraad layi
Jannat ka noor leke mehndi ki raat aayi
Rukh pe saheliyon ke, khwabon ki roshni hai
Sabne duaayein maangi, rab ne kabool ki hai
Yeh haathon mein mehndi hai ya shaam ki daali, bumbro
Chaand sitaare rehkar aaye, raat ki daali
Oh chanda ki paalki mein dil ki muraad layi
Jannat ka noor leke mehndi ki raat aayi
Rukh pe saheliyon ke, khwabon ki roshni hai
Sabne duaayein maangi, rab ne kabool ki hai
Yeh haathon mein mehndi hai ya shaam ki daali, bumbro
Chaand sitaare rehkar aaye raat ki daali, bumbro

Haan bumbro bumbro shyam rang bumbro
Bumbro bumbro, shyam rang bumbro
Aaye ho kis bagiya se, oh oh tum
Aaye ho kis bagiya se
Bumbro bumbro, oh oh tum
Bumbro bumbro, oh oh tum
Aaye ho kis bagiya se
Bumbro bumbro, oh oh
Bumbro bumbro
Aaye ho kis bagiya se
Oh oh tum
Bumbro bumbro
Bumbro bumbro
Bumbro bumbro
Bumbro bumbro
Bumbro bumbro
Teri Aakhon Ka Deewana
Music: Anu Malik
Lyricist: Rahat Indori
Album: Daraar(1993)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Daraar/Deewana-Deewana/Q1A,QB
aashiqi kya hai tu hai diwangi kya hai tu hai
jindagi kya hai tu hai bandagi kya hai tu hai
o priya o priya o priya o priya
teri aankho ka diwana diwana diwana
teri bato ka diwana diwana diwana
teri har ada ka mai janeman janeja mai diwana
diwana diwana diwana diwana mai tere liye

teri aankho ka diwana diwana diwana
teri bato ka diwana diwana diwana
teri har ada ka mai janeman janeja mai diwana
diwani diwani diwani diwani mai tere liye
teri chahat ki diwani diwani diwani
teri bato ki diwani diwani diwani
teri har ada ki mai janeman jane ja ha diwani
diwana diwana diwana diwana mai tere liye
kal tak jo gunah tha teri kasam

aaj hai ibadat mere liye tu hasti rahe tu gati rahe
tera har gum janam mere liye tu mere dil ki dhadkan hai
mujhe tujh se pyara koi nahi tere bad meri priya
mere jine ka sahara koi nahi
so bar jiu so bar maru meri jan jo tere kam aaye
o priya o priya o priya o priya
diwana diwana diwana diwana mai tere liye
aashiqi kya hai tu hai diwangi kya hai tu hai
jindagi kya hai tu hai bandagi kya hai tu hai

mere dil ko dhadakne ke liye ek teri hi jarurat hai
aa tujhko chupa lu aankho me mere dil me teri murat hai
tujhko koi or dekhe to mai jal jaunga
teri khatir sari dunia se mai lad jaunga
mera hasna tere sang mera rona tere sang
mera jina tere sang mera marna tere sang
tuhi meri sayri aashiqi justzu aarzu
o priya o priya o priya o priya
Tuhi Meri Manzil
Music: Anu Malik
Lyricist: Rahat Indori
Album: Daraar(1993)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Daraar/Tu-Hi-Meri-Manzil/GCct
tuhi meri manjil tuhi mera rashta
tere sang jina hai dunia se kya wasta
tere mere bich ab aaye na jamana
na jana na jana chhod ke tu na jana
na jana na jana chhod ke tu na jana

tuhi meri heer hai tu meri takdir hai
janmo se jo dil me thi tu wohi taswir hai
maine jara der se tujhe pahchana
na na na na aankh me aasu na lana
na jana na jana chhod ke tu na jana

din roshan hai rat hasi hai aasu kya the yad nahi hai
phul khile phir pyase dil ke tu aaya hai sawan banke
ninde gum ki hum kya soye din katte the rote rote
kaise din the kya mausam the jitni sanse utne gum the
jitne tare aankh se tute utne khile hai ab gulbute
bhul gayi ab mai apna dard purana
na na na na aankh me aasu na lana
na jana na jana chhod ke tu na jana
tuhi meri manjil tuhi mera rashta
tere sang jina hai dunia se kya wasta
maine jara der se tujhe pahchana
na na na na aankh me aasu na lana
na jana na jana chhod ke tu na jana

dil hai mera tera thikana sans me aana sans me jana
chahat ke sab moti chunkar rakh dunga main in kadmo par
chand sajake in balo me rang bhar dunga in galo me
chahe so so bar maruga fir bhi tujhko pyar karunga
chum lu tujhko aaja humdum
jakham pe rakh du pyar ka marhum
kadmo pe rakh du sara jamana
na na na na aankh me aasu na lana
na jana na jana chhod ke tu na jana
tuhi meri manjil tuhi mera rashta
tere sang jina hai duniya se kya wasta
maine jara der se tujhe pahchana
na na na na aankh me aasu na lana
na jana na jana chhod ke tu na jana
Ye Pyar Pyar Kya Hai
Music: Anu Malik
Lyricist: Rahat Indori
Album: Daraar(1993)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Daraar/Ye-Pyar-Pyar-Kya-Hai/G
ek sawal hai puchu kya
kya sawal hai pucho na
phul kyu khilte hai
dil se dil jab milte hai
jaan kab jati hai
yaad jab aati hai
chand kyu dhalta hai
tujhse ye jalta hai
aankhe kyu ladti hai
ninde kyu udti hai
saanse kyu rukti hai
ye pyar pyar kya hai inkar yaar kya hai
ye jeet har kya hai bata
ye pyar pyar kya hai inkar yaar kya hai
ye jeet har kya hai bata
ye pyar pyar kya hai inkar yaar kya hai
ye jeet har kya hai bata

aankhe jo ladti hai ninde phir udti hai
saanse bhi rukti hai
ye pyar pyar tu hai ikraar yaar tu hai
ye jeet haar tu hai priya
ye pyar pyar tu hai ikraar yaar tu hai
ye jeet haar tu hai priya
ye pyar pyar kya hai inkar yaar kya hai
ye jeet har kya hai bata

dil mera kyu kho gaya, diwana ye kyu ho gaya
ho main teri kyu ho gayi tu mera kyu ho gaya
dhak dhak dil kare tujhpe ye dil mare
bolo bolo kya kare janeja
dhak dhak dil kare tujhpe ye dil mare
bolo bolo kya kare janeja
main tera tu meri
main tera tu meri duniya se hai kya
ye pyar pyar kya hai inkar yaar kya hai
ye jeet har kya hai bata
ye pyar pyar kya hai inkar yaar kya hai
ye jeet har kya hai bata
ye pyar pyar tu hai ikraar yaar tu hai
ye jeet haar tu hai priya

wo gali jisme ghar tera, hai wahi pe ye dil mera
kya kare ab diwana dil har jagah chehra tera
dole dole dole dil mera dole dole
sham subh bole bole naam tera
dole dole dole dil mera dole dole
sham subh bole bole naam tera
o kaatil leke dil
o kaatil leke dil jati hai kahan
ye pyar pyar kya hai inkar yaar kya hai
ye jeet har kya hai bata
ye pyar pyar tu hai ikraar yaar tu hai
ye jeet haar tu hai priya
ye pyar pyar tu hai ikraar yaar tu hai
ye jeet haar tu hai priya

aankhe kyu ladti hai
ninde kyu udti hai
saanse kyu rukti hai
ye pyar pyar kya hai inkar yaar kya hai
ye jeet har kya hai bata
ye pyar pyar tu hai ikraar yaar tu hai
ye jeet haar tu hai priya
ye pyar pyar kya hai inkar yaar kya hai
ye jeet har kya hai bata
ye pyar pyar kya hai inkar yaar kya hai
ye jeet har kya hai bata
ye pyar pyar tu hai ikraar yaar tu hai
ye jeet haar tu hai priya
Ek Ladki Mera Naam
Music: Anu Malik
Lyricist: Rahat Indori
Album: Daraar(1993)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Daraar/Ek-Ladki-Mera-Naam/Qx5
ek ladki mera nam jo le sharmaye bhi ghabraye bhi
chupke chupke meri gali aaye bhi chali jaye bhi
ek ladka mera nam jo le sapno me mere aaye bhi
dil kyu mera usko chahe chahe bhi ghabraye bhi
ek ladki mera nam jo le ek ladka mera nam jo le

kitni najuk kitni komal kitni bholi bhali
pariyo jaisi lagti hai wo roshan chehre wali
aankh se bole hoth na khole apna pyar chupaye
chand bhi uska chehra dekhe dekhe or lalchaye
dusman hai wo mere dil ka or ye dil usko chahe bhi
chupke chupke meri gali aaye bhi chali jaye bhi
ek ladka mera nam jo le ek ladki mera nam jo le

piu mera mani jara rah me banglo mera
ho ram kasam aa jana piu mera mani jara
dhadkata hai dil dhadakne de tadapta hai dil tadapne de
kuch ho raha hai hone de jo ho raha hai hone de
wo phulo par kyu sabnam se nam mera likhta hai
dekh ke mujhko thandi thandi aahe kyu bharta hai
chup kar dekhe khat bhi na bheje lagta hai wo diwana
mujhse milne ki khatir dhundhe koi bahana
wo chupkar meri aankho se mere dil ko wo tadpaye bhi
chupke chupke meri gali aaye bhi chali jaye bhi
ek ladka mera nam jo le ek ladki mera nam jo le
Gali Gali Chor Hai(Remix)
Singer: Kailash Kher
Music: Anu Malik
Lyricist: Rahat Indori
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Gali-Gali-Chor-Hai/Gali-Gali-
yeh sab mann ke bhi hain kaale
yeh sab dhan ke bhi hain kaale
kya baat hai bhaiyya, kya baat hai
mere ghar mein hi rehte hain mera ghar lootne wale
dil ki baat keh di hai bhaiyya, dil ki baat
jo cheezein junglon ki hai, unhe jungle mein rehna tha
woh ab dilli mein rehte hain, jihne chambal mein rehna tha
jihne chambal mein rehna tha
nikaalo nikaalo inn bayimaano ko

gali gali chor hai, gali gali chor hai
corruption, corruption
corruption ka shor hai
choron ka zor hai, choron ka zor hai
choron ka daur hai, choron ka daur hai
choron se bandhi hui, choron ki dor hai
choron se bandhi hui, choron ki dor hai
gali gali chor hai, gali gali chor hai
abhey minyan sacchi baat boli hai tune

corruption ne likhi hai saari kahani
corruption ne likhi hai saari kahani
bina ghoos khori na bijli na paani
bina ghoos khori na bijli na paani
yahan saans lene ki keemat lagey gi
gharon se nikalte hi rishwat lagey gi
yahan aam logon ka hai yeh mukadder
na kuch ghar ke baahar, na kuch ghar ke andar
na kuch ghar ke baahar, na kuch ghar ke andar
na nehru ka sapna salamat raha hai
na gandhi ka charkha salamat raha hai
aadalat kachehri, yeh vardi yeh thaane
chalate hain rishwat ke sab kaarkhaane, sab kaarkhaane
disha koi bhi ho, looteron ka zor hai
disha koi bhi ho, looteron ka zor hai
gali gali chor hai, gali gali chor hai

yeh topi yeh dhoti, yeh kurte pajame
yeh kurte pajame
sab inke natak hai sab inke dramein
sab inke dramein, sab inke dramein
koi inn se keh de garebaan mein jaanke
dua hai ke khul jaaye dilli ki aankhein
ladaayi abhi humko rakhni hai jaari
hai azaadi ab tak adhoori hamari, adhoori hamari
siyaasi looteron ka kaisa yeh daur
siyaasi looteron ka kaisa yeh daur
gali gali chor hai, gali gali chor hai
gali gali chor hai, gali gali chor hai

uljhan hai yeh corruption
dushamn hai yeh corruption
apni aayodha mein raavan hai yeh corruption
rail ki patriyon pe daude hai yeh corruption
sacchiayion ke sheeshe todhe hai yeh corruption
jaane kahan se aaya
kisne ise bulaya
kheton mein apni aakhir yeh zehar kyun ugaya
koi haqeem laayo, koi dawa pe laayo
habeez ko baandho, iss booth ko baandho

inn brashtachaariyon ko, dhan ke pujaariyon ko
pakad ke inn ko jail mein daalo
desh ko apne inn se bacha lo
desh ko apne inn se bacha lo
desh ko apne inn se bacha lo

gali gali chor hai, gali gali chor hai
corruption, corruption
corruption ka shor hai
Gali Gali Chor Hai
Singer: Kailash Kher
Music: Anu Malik
Lyricist: Rahat Indori
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Gali-Gali-Chor-Hai/Gali-Gali-
yeh sab mann ke bhi hain kaale
yeh sab dhan ke bhi hain kaale
kya baat hai bhaiyya kya baat hai
mere ghar mein hi rehte hain mera ghar lootne wale
dil ki baat keh di hai bhaiyya dil ki baat
jo cheezein junglon ki hai unhe jungle mein rehna tha
woh ab dilli mein rehte hain jihne chambal mein rehna tha
jihne chambal mein rehna tha
nikaalo nikaalo inn bayimaano ko

gali gali chor hai gali gali chor hai
corruption corruption corruption ka shor hai
choron ka zor hai choron ka zor hai
choron ka daur hai choron ka daur hai
choron se bandhi hui choron ki dor hai
choron se bandhi hui choron ki dor hai
gali gali chor hai gali gali chor hai
abhey minyan sacchi baat boli hai tune

corruption ne likhi hai saari kahani
corruption ne likhi hai saari kahani
bina ghoos khori na bijli na paani
bina ghoos khori na bijli na paani
yahan saans lene ki keemat lagey gi
gharon se nikalte hi rishwat lagey gi
yahan aam logon ka hai yeh mukadder
na kuch ghar ke baahar na kuch ghar ke andar
na kuch ghar ke baahar na kuch ghar ke andar
na nehru ka sapna salamat raha hai
na gandhi ka charkha salamat raha hai
aadalat kachehri yeh vardi yeh thaane
chalate hain rishwat ke sab kaarkhaane sab kaarkhaane
disha koi bhi ho looteron ka zor hai
disha koi bhi ho looteron ka zor hai
gali gali chor hai gali gali chor hai

yeh topi yeh dhoti yeh kurte pajame yeh kurte pajame
sab inke natak hai sab inke dramein
sab inke dramein sab inke dramein
koi inn se keh de garebaan mein jaanke
dua hai ke khul jaaye dilli ki aankhein
ladaayi abhi humko rakhni hai jaari
hai azaadi ab tak adhoori hamari adhoori hamari
siyaasi looteron ka kaisa yeh daur
siyaasi looteron ka kaisa yeh daur
gali gali chor hai gali gali chor hai
gali gali chor hai gali gali chor hai

uljhan hai yeh corruption dushamn hai yeh corruption
apni aayodha mein raavan hai yeh corruption
rail ki patriyon pe daude hai yeh corruption
sacchiayion ke sheeshe todhe hai yeh corruption
jaane kahan se aaya kisne ise bulaya
kheton mein apni aakhir yeh zehar kyun ugaya
koi haqeem laayo koi dawa pe laayo
habeez ko baandho iss booth ko baandho

inn brashtachaariyon ko dhan ke pujaariyon ko
pakad ke inn ko jail mein daalo
desh ko apne inn se bacha lo desh ko apne inn se bacha lo
desh ko apne inn se bacha lo gali gali chor hai gali gali chor hai
corruption corruption corruption ka shor hai
Suno Suno Pata Karo
Music: Anu Malik
Lyricist: Rahat Indori
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Gali-Gali-Chor-Hai/Suno-Suno/
suno suno pata karo kahan hai hum
suno suno jahan ho tum wahan hai hum
suno suno pata karo kahan hai hum
suno suno jahan ho tum wahan hai hum
abhi abhi nayi hawa mein aaye hai
abhi abhi pata chala jawan hai hum
tum bhi ho yahan hum bhi hai yahan
jaana hume phir kahan
suno suno pata karo kahan hai hum
suno suno jahan ho tum wahan hai hum

mehboobi mehboobi hai jheel si inn do aankhon mein
meri saari duniya doobi hai
dhadkan dhadkan tu bhi hai aaj samajh mein aaya hai
tujh mein jaane kya kya khoobi hai
tumne ishaara kar diya khud ko humara kar diya
tum ho bekhabar hum bhi bekhabar
chalta hi rahe yeh safar
suno suno pata karo kahan hai hum
suno suno jahan ho tum wahan hai hum

paagal aaj hua hai dil bhar kar apni baahon mein
tum ko lekar door nikalna hai
peele peele saaye hai che bajne ko aaye hai
hum dono ko ghar bhi chalna hai
duniya dikha di khwaab ki
badi meherbaani aap ki
rangeen shaam ke apne naam ke
chaliye chodh ke kuch nishaan
suno suno pata karo kahan hai hum
suno suno jahan ho tum wahan hai hum

abhi abhi nahin hawa mein aaye hai
abhi abhi pata chala jawan hai hum
tum bhi ho yahan hum bhi hai yahan
jana hume phir kahan
Aisi Waisi Baat Nahi
Music: Anu Malik
Lyricist: Rahat Indori
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hero-Hindustani/Aisi-Waisi-Ba
Video:
dil pe waar hota hai, phir ikraar hota hai
tanhai mein rote hain, jinko pyar hota hai

aisi waisi baat nahin, choti moti baat nahin
yeh toh mohabbat hai, yahi ibadat hai
aisi waisi baat nahin, choti moti baat nahin
yeh toh mohabbat hai, yahi ibaadat hai
aankhon ke raste se dil mein utarkar dil kho jata hai
nind ud jaati hai pyar ho jaata hai
aisi waisi baat nahi, choti moti baat nahin
yeh toh mohabbat hai, yahi ibadat hai

kabhi yeh pyar hai resham kabhi khushbu
kabhi mausam kabhi shola kabhi shabnam
kahin sargam kahin sangam kahin pritam kahin hamdam
isise tum isise hum
chahat ke rishte ka jo naam rakh do wahin ho jata hai
aankhon ke raste se dil mein utarkar dil kho jata hai
nind ud jati hai pyaar ho jata hai
aisi waisi baat nahin, chhoti moti baat nahin
yeh toh mohabbat hai, yahi ibadat hai

dhadak uthata hai chum chum
jubaan chup chup najar gumsum
yeh chahat ki nishaani hai
ise aankhein sunati hai ise aankhein samajhati hai
yeh aankhon ki kahani hai
baahon ki raahon mein koi dewana jab kho jata hai
aankhon ke raste se dil mein utarkar dil kho jata hai
nind ud jati hai pyaar ho jata hai
aisi waisi baat nahin, choti moti baat nahin
yeh toh mohabbat hai, yahi ibadat hai

aankhon ke raste se dil mein utarkar dil kho jaata hai
nind ud jaati hai pyar ho jaata hai
dil pe waar hota hai, phir ikraar hota hai
tanhai mein rote hain, jinako pyar hota hai
Hero Hindustani
Music: Anu Malik
Lyricist: Rahat Indori
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hero-Hindustani/Hero-Hindusta
Video:
hero hindustani hero hindustani hero hindustani
hone wali hai shuru teri meri prem kahani
maine tujhe chun liya dil ka kaha sun liya
ho gaye ek hum ai sanam maine tujhe chun liya
hero hindustani hone wali hai shuru teri meri prem kahani

dil kahani keh raha hai sun raha hai dil
dil se milkar dil huwa hai pyar ke kabil
dil kahani keh raha hai sun raha hai dil
dil se milkar dil huwa hai pyar ke kabil
han sham behaki rat mehaki din hai mastana
maine tujhako tune mujhako jabse pehchana
duniya se darata hai dil dhak dhak kyun karata hai dil
yahi dhadkan hai pyar ki nishani
hero hindustani hone wali hai shuru teri meri prem kahani
maine tujhe chun liya dil ka kaha sun liya
ho gaye ek hum ai sanam maine tujhe chun liya
hero hindustani hone wali hai shuru teri meri prem kahani

apni ankhon mein rahenge abb naye sapne
ek manjil par milenge raste apne
apni ankhon mein rahenge abb naye sapne
ek manjil par milenge raste apne
do sitare mil gaye hai dil ki chori mein
abb undengi do patange ek dori mein
chhut na jaye sath kahin chhod na dena hath kahin
tujhpe luta dunga apni jawani
hero hindustani hone wali hai shuru teri meri prem kahani
maine tujhe chun liya dil ka kaha sun liya
ho gaye ek hum ai sanam maine tujhe chun liya
Hero Hindustani-1
Singer: Alka Yagnik
Music: Anu Malik
Lyricist: Rahat Indori
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hero-Hindustani/Hero-Hindusta
Video:
hero hindustaani - (3)
hone waali hai shuru teri meri prem kahaani

maine tujhe chun liya,
dil ka kaha sun liya
ho gaye ek hum ai sanam,
maine tujhe chun liya
hero hindustaani -2,
hone waali hai shuru teri meri prem kahaani
Ishq Huwaa Tujhse Janam
Music: Anu Malik
Lyricist: Rahat Indori
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Himalay-Putra/Ishq-Hua-Tujhse
Video:
ishq huwa tujhse janam, tu hi yaram tu hi pranam
ishq huwa tujhse janam, tu hi yaram tu hi pranam
jhut na mujhase tu khna, sach sach mujhase tu khna
mar jayenge bin tere o sajan
ishq huwa tujhse janam, tu hi yaram tu hi pranam
ishq huwa tujhse janam, tu hi yaram tu hi pranam
jhut na mujhase tu khna, sach sach mujhase tu khna
mar jayenge bin tere o sajan
ishq huwa tujhse janam, tu hi yaram tu hi pranam

chahat ki iss manjil mein sanson ki iss mehfil mein
mere dil mein tu thi tu aur koi na iss dil mein
tera pyar mehakata hai, tera nam dhadkata hai
yeh dil toh hai ghar tera
kaun yahan reh sakata hai kaun yahan reh sakata hai
dil ka darpan chur na ho, jism se saya dur na ho
koyi aur tujhe chhu le dil ko kabhi manjur na ho
chahe chand pighal jaye, chahe tare dhal jaye
dekhe aur kisiko toh meri ankhein jal jaye
pyar agar nakam huwa yar agar badnam huwa
mar jayenge bin tere o sajan
ishq huwa tujhse janam, tu hi yaram tu hi pranam

abb toh har pal dasta hai, mujhape nasiba hasata hai
ankhon ki barsaton se tera pyar barasata hai
inn ankhon mein khona hai, ho jaye jo hona hai
dag hai meri chahat par
khun se apane dhona hai khun se apane dhona hai
sach hai yeh ya sapana hai, maine jo kuchh dekha hai
sirf badan ki pyas nahi, janam janam ka rishta hai
khud ko aj saja dunga, chir ke dil dikhala dunga
aj main tere kadamon par apani jan luta dunga
tujhko apna mana hai shayad dil diwana hai
mar jayene bin tere woh sajan
ishq huwa tujhse janam, tu hi yaram tu hi pranam
ishq huwa tujhse janam, tu hi yaram tu hi pranam
jhut na mujhase tu khna, sach sach mujhase tu khna
mar jayenge bin tere o sajan
ishq huwa tujhse janam, tu hi yaram tu hi pranam
Tune Kaisa Jadu Kiyaa
Music: Anu Malik
Lyricist: Rahat Indori
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Himalay-Putra/Tune-Kaisa-Jado
Video:
tune tune tune kaisa jaadu kiya hay
piya piya piya jiya gaye
tune kaisa jadu kiya haye
piya piya piya jiya gaye

tune tune tune kaisa jadu kiya hay
jiya jiya jiya nahi jaye tune kaisa jadu kiya haye
jiya jiya jiya nahi jaye tune tune

jabse tujhako dekha jabse pehchana
dil kya hota hai meine yeh jana
pagal jaise din hai pagal ratein hai
nind nahi aati sapane aate hai, sapane aate hai

tan mein halchal hai, mann mein halchal hai
sansein deewani dhadkan pagal hai
haal kya hai mera kya sehata hoon
bolo main kya bolun gumsum rehata hoon
gumsum rehata hoon
apane badan se har dhadkan se aaye teri khushbu
tune kaisa jadu kiya haye piya piya piya jiya gaye
tune kaisa jadu kiya haye jiya jiya jiya nahi jaye tune tune

in baahon mein ji le in aankhon pe mar le
kuchh wade le le kuchh wade kar le
teri batein puchhu udate badal se
naam tera likhu apane kajal se apane kajal se

kaisa hai yeh jadu jadugar o katil
tere bin abb jina mushkil hai abb mushkil
tu hi mera rasta, tu hi meri manjil
tu hai mujhamein shaamil
main hoon tujhamein shamil
main hoon tujhamein shamil
meri palak par hai teri yadon ke juganu
tune kaisa jadu kiya haye piya piya piya jiya gaye
tune kaisa jadu kiya haye jiya jiya jiya nahi jaye
tune tune tune kaisa jadu kiya haye
piya piya piya jiya gaye tune kaisa jadu kiya haye
jiya jiya jiya nahi jaye tune kaisa jadu kiya haye
piya piya piya jiya gaye
Dil Ka Darwaja
Singer: Alka Yagnik
Music: Anu Malik
Lyricist: Rahat Indori
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Main-Khiladi-Tu-Anari/Dil-Ka-Darwaja/LzAycwFAYGw
Video:
dil ka darwaja khula hai raja raja raja raja
aath roj ki tu chutti leke aaja aaja aaja aaja
dil ka darwaja khula hai raja
aath roj ki tu chutti leke aaja
dil ka darwaja khula hai raja
aath roj ki tu chutti leke aaja

naya somvar aayega sath tere
mere hath me honge phir hath tere
manayenge mangal ko din ye suhana
to budh tak chalega yeh khushi ka tarana
maja somras ka mujhe bhi jaga ja aaja aaja aaja
pada hai jo parda wo aake utha ja aaja aaja aaja
dil ka darwaja khula hai raja
aath roj ki tu chutti leke aaja
dil ka darwaja khula hai raja
aath roj ki tu chutti leke aaja

naye gur guruvar ke sikh le na
oh hunar mujhse kuch pyar ke sikh le na
bada shukr phir shukravar ab na hoga
to pura hamara koi sapna hoga
han han to is bar mera vrat bhi chuda ja aaja aaja
tujhe pyar kar karke kar dungi taja aaja aaja aaja
dil ka darwaja khula hai raja
aath roj ki too chutti leke aaja
dil ka darwaja khula hai raja
aath roj ki tu chutti leke aaja

shanivar ki rat hogi suhani
mohabbat ki dede tu koi nishani
ravivar ke din ye paigam hoga
ke chutti ka din bas mere naam hoga
haye meri saton rate suhagan bana ja aaja aaja aaja
manayenge khushiyan bajayenge baja aaja aaja aaja
dil ka darwaja khula hai raja
aath roj ki tu chutti leke aaja
dil ka darwaja khula hai raja
aath roj ki tu chutti leke aaja
Zubaan Khamosh Hoti Hai
Music: Anu Malik
Lyricist: Rahat Indori
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Main-Khiladi-Tu-Anari/Zubaan-Khamosh-Hoti-Hai/Kg0JUDlqBGI
Video:
zuba khaamosh hoti hai nazar se kaam hota hai
zuba khaamosh hoti hai nazar se kaam hota hai
isi pal kaa zamaane me mohabbat naam hota hai
dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
jaane kab kaise ikaraar ho gaya
zuba khaamosh hoti hai nazar se kaam hota hai
zuba khaamosh hoti hai nazar se kaam hota hai
isi pal kaa zamaane me mohabbat naam hota hai
dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
jaane kab kaise ikaraar ho gaya
dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
jaane kab kaise ikaraar ho gaya

ye vo ehsaas hai jisko na lafzo ki zarurat hai
jise paakar lage saara zamaana khubsurat hai
zamana khubsurat hai
mohabbat naam hai jiska adaao me dikhaayi de
teri dhadakan ki har sargam me ye mujhko sunaayi de
ha ye mujhko sunaayi de
mere hotho pe jab tere labo kaa jaam hota hai
mere hotho pe jab tere labo kaa jaam hota hai
isi pal kaa zamaane me mohabbat naam hota hai
dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
jaane kab kaise ikaraar ho gaya
dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
jaane kab kaise ikaraar ho gaya

badal jaate hai sab aasaar jab ye pyaar hota hai
bina bole hi chaahat kaa hasi izhaar hota hai
hasi izhaar hota hai
khayaalo ki hasi vaadi me jab tum gungunaati ho
meri saanso ki dariya me kayi tufaan laati ho
kayi tufaan laati ho
bahut bechainiyo me bhi bada aaraam hota hai
bahut bechainiyo me bhi bada aaraam hota hai
isi pal ka zamaane me mohabbat naam hota hai
dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
jaane kab kaise ikaraar ho gaya

zuba khaamosh hoti hai nazar se kaam hota hai
zuba khaamosh hoti hai nazar se kaam hota hai
isi pal kaa zamaane me mohabbat naam hota hai
dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
jaane kab kaise ikaraar ho gaya
dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
jaane kab kaise ikaraar ho gaya
dekho dekho dekho mujhe pyaar ho gaya
jaane kab kaise ikaraar ho gaya
Tujhe Pyar Karte Karte
Singer: Alka Yagnik
Music: Anu Malik
Lyricist: Rahat Indori
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Naajayaz/Tujhe-Pyar-Karte-Karte---Female/JlspBxAAVGw
Video:
tujhe pyaar karte karte teri nind tak uda dun
tujhe pyaar karte karte teri nind tak uda dun
aaun jo apni jid pe
tujhe kya se kya bana dun
tujhe pyaar karte karte teri nind tak uda dun
tujhe pyaar karte karte teri nind tak uda dun
aaun jo apni jid pe
tujhe kya se kya bana dun
tujhe pyaar karte karte teri nind tak uda dun

tu hi ye bandgi hai tu hi meri aarti hai
tu hi ye bandgi hai tu hi meri aarti hai
mujhe kya garaj ki duniya mujhe kya pukaarti hai
mujhe kya pukaarti hai
tujhe jindgi nayi dun tujhe naam bhi naya dun
tujhe jindgi nayi dun tujhe naam bhi naya dun
aaun jo apni jid pe
tujhe kya se kya bana dun
tujhe pyaar karte karte teri nind tak uda dun

wo khushi ki roshani ho ki gumo ka ho andhera
wo khushi ki roshani ho ki gumo ka ho andhera
jo nasib hoga tera wo nasib hoga mera
wo nasib hoga mera
mere hatho ki lakire tere haath pe saja dun
mere hatho ki lakire tere haath pe saja dun
aaun jo apni jid pe
tujhe kya se kya bana dun
tujhe pyaar karte karte teri nind tak uda dun
aaun jo apni jid pe
tujhe kya se kya bana dun
tujhe pyaar karte karte teri nind tak uda dun
Tujhe Pyar Karte Karte-1
Singer: Sonu Nigam
Music: Anu Malik
Lyricist: Rahat Indori
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Naajayaz/Tujhe-Pyar-Karte-Karte---Male/J1paViVqVF8
Video:
tujhe pyar karte karte
teri nind tak uda du
tujhe pyar karte karte
teri nind tak uda du
aau jo apni zid pe
tujhe kya se kya bana du
tujhe pyar karte karte
teri nind tak uda du
tujhe pyar karte karte
teri nind tak uda du
aau jo apni zid pe
tujhe kya se kya bana du
tujhe pyar karte karte
teri nind tak uda du

tujhe chain lene degi
na kabhi meri mohabbat
tere dil ke ayine me
rahegi meri hi surat
na kabhi bhula sakegi
tu mere dil ki chahat
tu mere dil ki chahat
koi khawab to nahi mai
mujhe ho sake bhula tu
koi khwab to nahi mai
mujhe ho sake bhula du
aau jo apni zid pe
tujhe kya se kya bana du
tujhe pyar karte karte
teri nind tak uda du

meri tarah zindagi me
tu kabhi na chain paye
mai jaise ro raha hu
tujhe bhi koi rulaye
mere bin agar jeeye tu
to kabhi jeeya na jaye
to kabhi jeeya na jaye
tu kabhi na bhul paye
mai tujhko wo saza du
tu kabhi na bhul paye
mai tujhko wo saza du
aau jo apni zid pe
tujhe kya se kya bana du
tujhe pyar karte karte
teri nind tak uda du
aau jo apni zid pe
tujhe kya se kya bana du
tujhe pyar karte karte
teri nind tak uda du
Ek Kadam Tera Ek Kadam Mera
Music: Anu Malik
Lyricist: Rahat Indori
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Naajayaz/Ek-Kadam-Tera-Ek-Kadam-Mera/CDEFAiR5eVQ
Video:
ek kadam tera ek kadam mera
sang hum chale ho safar pura
ek kadam tera ek kadam mera
sang hum chale ho safar pura
ek kadam tera ek kadam mera
sang hum chale ho safar pura

raste ki mushkil se koi kyu ghabrayega
gam hai kise jo raat hai kaali, suraj aayega
humko isi raste me milegi khushiyo ki barat
sone jaisa din niklega chandi jaisi raat
o raste ki mushkil se koi kyu ghabrayega
gam hai kise jo raat hai kaali, suraj aayega
humko isi raste me milegi khushiyo ki barat
sone jaisa din niklega chandi jaisi raat
ek deeya tera ek deeya mera
palko pe rakhe ho safar pura
ek kadam tera ek kadam mera
sang hum chale ho safar pura

kadmo se kadmo ka milna kismat hota hai
dil se dil mil jaye waha ik tirath hota hai
apne dil me pyar ka ek anmol khazana hai
ek duje ki dhadkan banke sath nibhana hai
o kadmo se kadmo ka milna kismat hota hai
dil se dil mil jaye waha ik tirath hota hai
apne dil me pyar ka ek anmol khazana hai
ek duje ki dhadkan banke sath nibhana hai
ek dil tera ek dil mera
dono mile ho safar pura
ek kadam tera ek kadam mera
sang hum chale ho safar pura
ek kadam tera ek kadam mera
sang hum chale ho safar pura
Sambhala Hai Maine
Singer: Kumar Sanu
Music: Anu Malik
Lyricist: Rahat Indori
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Naaraaz/Sambhala-Hai-Maine/HhwjbjNBVEA
Video:
sambhaalaa hai maine bahut apane dil ko
jubaa par teraa phir bhi naam aa rahaa hai
jahaa raaj koi chhupaayaa na jaae
muhabbat me aisaa mukaam aa rahaa hai
sambhaalaa hai maine

banaayaa hai maine tujhe apanaa saathi
rahe kis tarah phir mere hosh baaki
nazar yu bahakane lagi hai ki jaise
mere saamane koi jaam aa rahaa hai
sambhaalaa hai maine

ye zulfo ke baadal ghanere ghanere
mere baajuo par jo tune bikhere
mai samajhaa ki jaise meri dhadakano ko
teri dhadakano kaa payaam aa rahaa hai
sambhaalaa hai maine
Tere Bin Mai
Music: Anu Malik
Lyricist: Rahat Indori
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Naaraaz/Tere-Bin-Main-Kuchh/My9TdBdUckA
Video:
tu aasaman mai jamin
tu jaha mai bhee vahee
meree duniya bus tu hee tu
tu nahee toh mai bhee nahee
tu aasaman mai jamin
tu jaha mai bhee vahee
meree duniya bus tu hee tu
tu nahee toh mai bhee nahee

mai chaaro dhaam kyon jaau
mere tirth hain bas yahee
mai chaaro dhaam kyon jaau
mere tirth hain bas yahee
tere saare aansu mere
meri saari khushiya teri
tu nahee toh mai bhee nahee
tu nahee toh mai bhee nahee
Tujhe Manga Tha
Music: Anu Malik
Lyricist: Rahat Indori
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Ram-Shastra/Tujhe-Maanga-Tha/QgE5Rw0AR1s
Video:
vaah re vaah kya baat hai tu mere saath hai
vaah re vaah kya baat hai tu mere saath hai
taaro ki raat hai pyaar ki baaraat hai
tujhe maanga tha tujhe paaya hai
tujhe maanga tha tujhe paaya hai
tujhe maanga tha tujhe paaya hai
ab jaake raam pe yaki aaya hai
ab jaake raam pe yaki aaya hai
raam raam raam raam mere raam raam raam raam
tujhe maanga tha tujhe paaya hai
tujhe maanga tha tujhe paaya hai
tujhe maanga tha tujhe paaya hai
ab jaake raam pe yaki aaya hai
ab jaake raam pe yaki aaya hai
raam raam raam raam mere raam raam raam raam

sadiyo se thi apni duri din the adhure raat adhuri
janmo se hu tera diwaana jinda rehna tha bahaana
saajan jab tu aur kahi tha
saajan jab tu aur kahi tha
is duniya me kuchh bhi nahi tha, kuchh bhi nahi tha
jis din apna pyaar bana hai
jis din apna pyaar bana hai us din se sansaar bana hai
mujhe chhod na dena raam kasam dil tod na dena raam kasam
haatho ki lakiro me tujhko paaya hai
ab jaake raam pe yaki aaya hai
ab jaake raam pe yaki aaya hai
raam raam raam raam mere raam raam raam raam

indradhanush angadayi hai teri chand nahi parchhaayi hai teri
jab tak chamakege do taare duniya legi naam hamaare
pyaar ki dhun pe gaata rahunga
pyaar ki dhun pe gaata rahunga
ban banke raam aata rahunga, aata rahunga
chhod ke saare rang chalungi
chhod ke saare rang chalungi jungle jungle sang chalungi
tu raam hai mera raam kasam, tu sita meri raam kasam
dhup hu mai tu mera saaya hai
ab jaake raam pe yaki aaya hai
ab jaake raam pe yaki aaya hai
tujhe maanga tha tujhe paaya hai
tujhe maanga tha tujhe paaya hai
ab jaake raam pe yaki aaya hai
ab jaake raam pe yaki aaya hai
raam raam raam raam mere raam raam raam raam
Mujhe Hosh Nahi
Singer: Jagjit Singh
Music: Jagjit Singh
Lyricist: Rahat Indori
Album: Saher(2000)
Tag: other
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Saher/Mujhe-Hosh-Nahin/PV5cQDVifWU
Video:
mujhe hosh nahi mujhe hosh nahi mujhe hosh nahi
kitani pi kaise kati raat mujhe hosh nahi
kitani pi kaise kati raat mujhe hosh nahi
raat ke sath gai baat mujhe hosh nahi
raat ke sath gai baat mujhe hosh nahi
kitani pi kaise kati raat mujhe hosh nahi

mujhko ye bhi nahi maalum ki jana hai kaha
mujhko ye bhi nahi maalum ki jana hai kaha
tham le koi mera haath mujhe hosh nahi
tham le koi mera haath mujhe hosh nahi

jaane kyaa tutaa hai paimana ki dil hai mera
jaane kyaa tutaa hai paimana ki dil hai mera
bikhare bikhare hai khayalat mujhe hosh nahi
bikhare bikhare hai khayalat mujhe hosh nahi

aansuo aur sharabo me guzar hai ab to
aansuo aur sharabo me guzar hai ab to
mai ne kab dekhi thi barasaat mujhe hosh nahi
mai ne kab dekhi thi barasaat mujhe hosh nahi
raat ke sath gai baat mujhe hosh nahi
kitani pi kaise kati raat mujhe hosh nahi
mujhe hosh nahi mujhe hosh nahi mujhe hosh nahi